Apna Adsense Account Approval Kaise Karaye Tips 2022

Hello Everyone Welcome to Support Tech India. So friends  aaj ki yeh Post aapke liye bahut-bahut special hone wali hai kyoki aaj mai aapko batane wala hoon google adsense ke bare me ki Apna Adsense Account Approval Kaise Karaye So Friends Today I'm Very-Very happy Kyoki meri itni mahnat ke bavajood aakhir mujhe adsense approval mil hi gaya or kahte hai na ki upar wala kabhi kisi ki mahnat barbad nahi karta sabko apni mahnat ka fal jaroor deta hai. kisi ko jaldi so kisi ko kuch time bad but deta jaroor hai. or mere sath bhi esa hi hua hai maine blogging ki starting Dec. 2016 me ki thi maine apna ek blog banaya tha mera Ist Blog tha Sameer-ali-best4u.blogspot.com or jaise ki aap hamare blog ko dekh chuke honge maine apne first blog par article se jyada apne blog Design par Focus kiya jiski wajah se mere blog par traffic kuch bhi nahi tha but mujhe jyada knowledge na hone ki wajah se maine 7 din baad adsense ke liye apply kar diya or adsense ne 3 days bad mera account disapproval kar diya. So Friends mai chahta hoon jo galti maine ki vo aap na kare varna time to aap apna barbad karo ge hi time ke sath-sath aapka mann bhi blogging se hat jayga. aapko blogging boring lagne lagegi.


maine blogging me apna pura 1 Saal waste kiya hai jab kahi jakar mujhe blogging ki knowledge hui or phir maine apna adsense account bhi aproval kara liya dosto maine apna adsense xyz.blogspot.com par hi approval karaya hai jab mai google par search karta tha Apna Adsense Account Approval Kaise Karaye So Result to bahut Show ho jate the but jo bhi post mai padhta 80% post me likha hota ki sabse pahle aapko ek domain buy karna hoga or tabhi maine soach liya tha ki adsense account xyz.blogspot.com par hi approval karvaunga chahe mujhe kitni bhi mahnat karni pade or ek vo din tha or ek aaj ka din hai. so friends mai aapko kuch esi tips batane ja raha hoon jinhe follow karke aap apna adsense account approval kara sakte hai. mai aapse ye nahi kahunga ki aap .com buy karo .in buy karo agar aapka budget hai so aap buy kar sakte hai. but agar aapka budget nahi hai so aap chahe fir aapka domain xyz.blogspot.com ho bas aapko carefully ye tips follow karni hai.
Apna Adsense Account Approval Kaise Karaye
Note: Adsense Account Create Karne se Pahle Meri aapse ek request hai ki sabhi tips ko carefully follow kare Jisse aapko adsense account approved karrane me problem na aaye 

#1. Add Important Pages:-
Appko Blog banane ke baad sabse pahle About us, Contact us, Privacy Policy, Terms, etc. Important Pages achhe se likhkar apne blog me add karne hai. agar aapko yeh page likhne nahi aate to google par search kare for ex: pagename tool generator or agar aap chahe to page kisise dekhkar bhi likh sakte hai

#2. Use Responsive Template
Agar aapko google adsense ko jaldi approval karana hai to aapke blog par ek simple, unique, SEO Friendly and responsive template hona bahut hi jaroori hota hai. responsive ka matlab hota hai jo Template sabhi device for ex: Mobile, Tablet, Laptop me achhe se open ho sake, or aapko template jyada colorful use nahi karni hai. template me sirf 1-2 color hi use kare template ka look professional hona chahiye. template fast loading ka hona chahiye. isse aapko Apna Adsense Account Approval karane me bahut help milegi.

#3. Custom Domain ( if have Money )
Custom Domain ko blog par add karne se aapko kum mehnat karni padegi kyoki isse aapka blog Search engine par aasani se rank kar leta hai jisse aapke blog ka traffic badhta hai or agar aap ek new blogger hai aapke paas domain buy karne ke liye paise nahi so aap xyz.blogspot.com ko bhi use kar sakte hai but isme aapko thodi jyada mahnat karni padegi. kyoki xyz.blogspot.com ek sub domain hai or sub domain par Apne Adsense Account Approval karane ke aapko jitni mahnat karoge utna hi kam hai.

#4. Don't Use Maximum Image
Aapko apne blog me jyada image use nahi karne hai or na hi post me. apni blog post me jyada se jyada 1 image hi use kare kyoki google adsense image or Videos ko pasand nahi karta. so mai aapse kahna chahunga ki kam se kam image use kare or image me Alt Tag jaroor use kare.

#5. Write Original & Unique Content
Adsense account ko approve karane ke liye aapke blog par minimum 30 Post honi chahiye jo ki 100% Original, Unique or Informative ho Post Kahi se Copy kiya hua nahi hona chahiye. post minimum 700 words ki honi chahiye. aap jis topic par article write kar rahe hai uski puri information de aapka article incomplete nahi lagna chahiye aap apne topic ko completely achhe se explain kare. agar aapka article incomplete lagega so google adsense incomplete content kahkar aapke blog ko disapprove kar dega. jab apne blog par content write kare so aap Headlines or Sub Headlines ka use kare jisse aapka article clear samajh aay jisse aapka adsense account jaldi approval ho jata hai.   

Post a Comment

0 Comments