Blogger me Google Fonts Kaise Install Kare - Full Guide in Hindi

Dear All Visitors Aaj Hum Google Web Fonts Install Karne ke Baare me Baat Karenge. ki kaise hum apni website me google web font install karenge aur apni website ke Text format ko ek achcha look kaise banaynge Isse aapko bahut fayde hote hai isse ek aapki website ka look achcha hoga aur reader aapki website ko pasand karenge. google bahut saare web fonts hame provide karta hai aur vo bhi bilkul free main aap jo bhi chahe apni website/Blog me Fonts Install kar sakte hai iske liye google aapke koi bhi charge nahi lega dosto ek baat aur hai agar aap chahe to apni website me kitne bhi fonts install kar sakte hai. agar aap is Blog Yani Hindi Tech Word ki baat Kare to isme maine 2 fonts install kiye hai aur aap kitne bhi kar sakte hai lekin jyada fonts install nahi karne chahie. agar aapko apne blog ko ek professional looking deni hai to aapko sirf 1-2 fonts install karne chahie to chalie friends jante hai ki google web fonts kaise install karte hai? 
Read: Apne Blog ki template ko Mobile Friendly kaise banaye?

Read: Apne Blog me Custom Theme kaise upload kare?
Friends kisi bhi website ka look hona bahut hi jaroori hai kyoki aapki website ka look aur aapki content ki aapko ek successful blogger banati hai aapki website ka look esa hona chahie jo har reader ke dil ko choo jaye aur agar aapki website ka look bilkul bhi achcha nahi hai aur contene kitni bhi unique ho lekin visitors aapke site ko bahut hi kum like karenge so main aapse yeh kahna chahta hoon ki ek blogger ke liye website ho ya phir blog ek achcha beautiful look hona bahut hi important hai hota hai ?
Read: Blog ki Sabhi Post me Author Box kaise add kare?
Friends agar aap ek wordpress user hai to aap Easy Google Fonts plugin ka use karke bahut easily simple tarike se install kar sakte hai aur agar aap ek blogger user hai to aap niche diye gaye kuch step ko follow karke badi aasani se apne blog me google web fonts install kar sakte hai ?

Blog me Google Web Fonts Kaise Install Kare?

Step: 1
Sabse Pahle aap fonts.google.com ki website par jaye yahan aapko bahut saare font dikhai denge App Categories aur language ke Anusaar font search kar sakte hai kuch achchi categories niche di gayi hai ?

1 Serif
2 Sans Serif
3 Display
4 Handwriting
5 Monospace

aur agar aap chaho to search box ke through bhi font name likhkar search kar sakte hai aur jo bhi font aapko achcha lage aap usme "+" ke icon per click karke uske baad aap bottom me dekh sakte hai ek black color ka popup board show hoga phir us par click kare 

Step: 2
ab yaha aapko embed customize standard import ke 3-4 option milenge in option se aap font ko customize kar sakte hai jaise aapko font weight change karna ho ya phir font ki language change karni ho to aapko customize option per click karke font weight me aapko small, bold, bolder, ho aur agar aap mere blog ke baare me kahe to main 400 select karta hoon ?


ab aapko Blogger me login karna hai aur theme option per click karke Edit HTML per click karna hai aur uske baad Code Box me kahi bhi click karke Ctrl + F Button Press karna hai aur phir <head> tag ke niche link paste karna hai for Example 
<head>
<link href="https://fonts.googleapis.com/css?family=Fauna+One" rel="stylesheet">
 aur uske baad aapko <link href="#" rel="stylesheet"> tag ko band kar dena hai kuch is trah <link href="#" rel="stylesheet"/> aur phir uske baad aapko CSS dwara font change karna hai

Step: 3
sabse pahle aapko Code Box me kahi bhi click karke Ctrl + F Button Press karna hai aur phir font-family: search karna hai yah code aapki website me bahut jyada hota hai jitne bhi code ho aapko unke samne  'Fauna One', serif;  jo bhi aapka code hai paste kar dena hai ? for ex: font-family: 'Fauna One', serif; main fauna one use kar raha hoon to maine font-family: ke baad 'fauna one', serif; paste kiya hai aap jo font choose karenge aapko uska code paste karna hoga ? aur phir Save Button per Click Karke Save kar dena hai aapki website me google fonts install ho gaya hoga ?
So Friends Ummed Karta hoon ki aapko meri batai gayi Step Follow karke Google Fonts Install karna aa hi gaya hoga agar aapko meri yah post achchi lagi ho to aap ise social media per jaroor shere kare aur saath hi hamare blog ke newsletter ko subscribe kare aur agar aapko humse blogging se related kuch bhi puchna hai to niche diye gaye comment box ke jariye pooch sakte hai thanks..

Post a Comment

1 Comments

  1. Bhai please help... I'm in depression...mujhe blog banana hai... Aapki template free main cahiye

    ReplyDelete